|
|
Quran Shrief Say Mushkilat Ka Hal Sms
|
Soorat-e-Dahar
Rozana 7 martaba parhna Dushman ko dafaa karta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Mursalat
Hamaysha Mughrib ki Namaz k bad 1 bar parhna BudKhuwabi ko door karta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Nazaeat
Dushman k Shar aur Hakim ki Buraai say bachna ho to Us k samnay jatay huway parhay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Aabas
Is Mubarak Soorat ko pani per dum kar k pilana her qism k Marz say Shifa dayta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Inshiqaq
Arq-e-Gulab per dum kr k pilana Bud-Hazmi walay ko ALLAH k Fazal say Shifa bakhshta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Tariq
Is Soorat ko kagaz per likh ker deiwar per lagana In-Sha-Allah Sanp (Snake) Ya Bichoo ko Gher may Anay say rokta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Gashea
Is Mubarak Soorat ko 5 Namaz k bad Tilawat karna Dil may Aakhrat ka Khoaf , Qalb may rikat , Amal may Islah payda karta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Balad
11 bar Rozana parhna Durd-e-Gurda Aur Mirgi walay k liya nihayat mufeid hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Shams
Ishraq ki Namaz k bad 1 bar parhna Falij , Luqwah , Raasha say ALLAH k Fazal say mahfooz karta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Lail
Agar koie shakhs Gum ho jay , Us kay slamat wapis Aanay k leya Is Soorat ko Hiren kiy khal per likh ker kisi darkht per Latkana nihayat muajrab hay.