|
|
Quran Shrief Say Mushkilat Ka Hal Sms
|
Soorat-e-Qaraea
Is Soorat ko nihayat Goor say parhna Khoof-A-ILahi payda karta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Taqasur
Is Mubarak Soorat ka Jumaerat Shub ko 113 bar parhna, Jis ko Khawab may daykhna ho to wo dikhae dayta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-User
Surma ki Silaee per 3 bar parh ker Ankhoon ki baymareyon ko door karta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Homaza
Dushman k Shar say mahfooz rahnay k liya Rozana 11 bar parhna Nihayat mufeid hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Feil
Dushman k Shar say mahffoz rahnay k liya Rozana 11 bar parhna Nihayat mufeid hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Qurash
Aandhi ka Tofan, Ya Barish ka Tofan dafa karnay k liya Is Mubarak Soorat ko 11 bar parhaen.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Maaoon
Dushman k Shar say mahfooz rahnay k liya Rozana 1100 bar parhna 30 Rat tuk Nihayat mufeid hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Kosar
La Walad shakhas ka Is Soorat ko 500 bar Rozana parhna 3 mah tuk ALLAH k Fazal say Sahab-e-Aulad banata hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Kaferoon
Is Soorat ka Rozana parhna Kufer say, Nifaq say Dil ko Dimagh ko Mahfooz karta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Nasar
Hur 1 murad ko Hasil karnay k leya Is Soorat ko 123 bar 17 Din tuk parhna nihayat mufieed hay.
Rozana 5 Namazon k bad 7 bar Is Soorat ko parhna hur Arei Mushkil k kholnay k leya mufeed hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Ikhlas
Is Mubarak Soorat ko 3 bar parhnay say puray Quran parhnay ka Sawab milta hay.
Is k 10 bar parhnay say 1 Mahal JANAT may tayar hota hay.
Is Soorat ka Hamaysha parhnay wala Eeyman per marta hay.
Is k parhnay k Sawab Bayshmar hayin.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Falaq & Naas
In Soortoon ka parh ker bachoon per dum karna Nuzar say, Jadoo say, Jin say aur doosri Aafat say Mahfooz karta hay.
Hadded may In Soortoon ko Hifazat ka Qila farmaya hay.